kabhi saya to kabhi dhup ka manzar badle dar-o-diwar hue dasht-numa ghar badle mausamon ne to darakhton ko diye pairahan aur hawaon ne udanon ke liye par badle us ne chattan mein ek phul khilaya to kya pattharon ko na badalna tha na patthar badle reg-zaron mein chala qafila-e-mauj-e-hayat tishnagi ret ke sahra mein samundar badle ek tere gham ke ujalon ki ridaen mil jaen zindagi jism ki ye maili si chadar badle