kabhi shisha kabhi aahan kabhi patthar banata hun main shair hun tujhe kya kya dil-e-muztar banata hun tapa kar garmi-e-ehsas mein be-jaan lafzon ko kahin shoala banata hun kahin akhgar banata hun ise raghbat kahun teri ki apne dil ki betabi tasawwur mein koi taswir main aksar banata hun amal diwangi ka hai to kyon dana kahun khud ko main kaghaz ke sipahi kat kar lashkar banata hun tassub ki gira karti hain jis ja bijliyan aksar mujhe bhi zid hai aksar main wahin pe ghar banata hun khuda shahid mujhe 'rizwan' yahi do kaam aate hain jahan masjid banata hun wahin mimbar banata hun