kabhi socha hai kuchh achchha bura kya

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
kabhi socha hai kuchh achchha bura kya
to ab rone ki khatir sochna kya
meri aankhon mein duniya bhar gai hai
main hairan hun tera jadu hua kya


use achchha laga kal sath mera
wo tanhai se itna dar gaya kya
khushi chehre se chhalki pad rahi hai
tujhe is khak-dan se kuchh mila kya


38286 viewsghazalEnglish