kabhi sunte hain aql-o-hosh ki aur kam bhi pite hain kabhi saqi ki nazren dekh kar paiham bhi pite hain kahan tum doston ke samne bhi pi nahin sakte kahan hum ru-ba-ru-e-naseh-e-barham bhi pite hain khizan ki fasl ho roze ke ayyam-e-mubarak hon tabiat lahr par aai to be-mausam bhi pite hain tawaf-e-kaba be-kaifiyyat-e-mai ho nahin sakta mila lete hain thodi si agar zamzam bhi pite hain kahan ki tauba kaisa ittiqa ahd-e-jawani mein agar samho to aao tum bhi chakhkho hum bhi pite hain 'nushur' aaluda-e-isyan sahi par kaun baqi hai ye baaten raaz ki hain qibla-e-alam bhi pite hain