kabhi suraj hai kabhi zohra-jamalon jaisa

kabhi suraj hai kabhi zohra-jamalon jaisa
kyun wo lagta hai mujhe meri misalon jaisa

har tarah se wo bahut achchha hai lekin us ko
dekhna chahti hun apne khayalon jaisa

chahti hun ki karun us se mohabbat khul kar
lekin anjam na ho chahne walon jaisa

kis tarah man lun main us ki nisabi baaten
us ka mauqif hai kitabon ke hawalon jaisa

meri zid hai use hal kar ke rahungi main bhi
wo jo lagta hai riyazi ke sawalon jaisa

aaj ke din bhi ghata khul ke na barse shayad
aaj ka din bhi hai wahshat mein ghazalon jaisa

ai mohabbat mein mujhe chand sa kahne wale
mujh 'qamar' ko na samajh meri misalon jaisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close