kabhi the ham-safar rah-e-mohabbat mein KHuda aur hum
By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
kabhi the ham-safar rah-e-mohabbat mein khuda aur hum
khuda ab aasman par hai zamin par hain hawa aur hum
ghazal us ne mukammal hi na hone di ki muddat se
bas ek she'r aur us ke nam ka ek qafiya aur hum
ab itni sharm hai tujh ko jo khul kar baat karne se
karenge raat bhar baaten tere band-e-qaba aur hum
mohabbat chhod kar tum jao duniya ke maze luto
samajh lenge bas aapas mein mohabbat ki bala aur hum
wahi zakhmi badan hai aur wahi tuta hua dil hai
wahi us ki gali aur 'ashiqi ki ibtida aur hum
use raunaq dikhaen hum bhi apni bewafai ki
kisi mahfil mein mil jaen agar wo bewafa aur hum
sab apne ru-baru hain guftugu karta nahin koi
tumhaara aaina aur tum hamara aaina aur hum
hamare mai-kade mein aakhir-e-shab ka saman dekho
namaz-e-fajr hai aur hain nashe mein dhut khuda aur hum

73068 viewsghazal • English