kabhi to khwab kabhi ratjage se baaten kin tere guman mein hum ne diye se baaten kin rida-e-shab pe nae tarz se visal likha bichhadne walon ne ek dusre se baaten kin rahi na yaron se ummid gham-gusari ki ghar aae girya kiya aaine se baaten kin ajab mazaq hai hum ne khuda ke dhoke mein tamam umr kisi waswase se baaten kin janab-e-shaikh se ek bar samna ho jae karega yaad kisi sar-phire se baaten kin bahut adaq thin ibaraat zindagani ki zara si der ruke hashiye se baaten kin hamare honton pe pur-lutf qahqahe bikhre hamari aankhon ne kitne maze se baaten kin chale to chalte gae hath tham kar chup-chap juda hue to bahut raste se baaten kin