kabhi tum mol lene hum kun hans hans bhaw karte ho kabhi tir-e-nigah-e-tund ka barsaw karte ho kabhi tum sard karte ho dilon ki aag garmi sin kabhi tum sard-mehri sin jhatak kar baw karte ho kabhi tum saf karte ho mere dil ki kudurat kun kabhi tum be-sabab tewri chadha kar taw karte ho kabhi tum mom ho jate ho jab main garm hota hun kabhi main sard hota hun to tum bhadkaw karte ho kabhi la la mujhe dete ho apne hat sin pyala kabhi tum shisha-e-dil par mere pathraw karte ho kabhi tum dhul udate ho meri ghusse sin rukhe ho kabhi munh par haya ka la araq chhidkaw karte ho kabhi khush ho ke karte ho 'siraj' apne ki jaan-bakhshi kabhi us ke bujha dene kun kya kya daw karte ho