kabhi wafur-e-tamanna kabhi malamat ne

kabhi wafur-e-tamanna kabhi malamat ne
thaka diya hai badan roz ki khajalat ne

main zakhm zakhm tha bistar ki silwaton mein ghira
mera jo haal kiya subh ki malahat ne

faza-e-jabr tujhe chaak chaak kar denge
nigal liye jo sitare teri kasafat ne

kisi jamal ki chhab ho kisi kamal ki zau
ujad dala hai pazhmurdagi ki aadat ne

hum aise kaun se gharq-e-nashat-o-aish the jo
hamein hi tak liya khauf ki risalat ne

ghurur hi ka na bahrup ho 'husain-abid'
jo ijz tujh ko diya hai teri ibaadat ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close