kabhi yahan liye hue kabhi wahan liye hue phiri hai justuju teri kahan kahan liye hue zamin-e-dil ki khak hai sad-asman liye hue tanazzulat-e-ishq mein taraqqiyan liye hue dil o jigar liye hue mata-e-jaan liye hue kisi ka nawak-e-nazar talashiyan liye hue usi gali se aai hai shamim-e-zulf lai hai nasim-e-subh aai hai tasalliyan liye hue mere gham-e-nihan mein hai nawed-e-ishrat-afrin bahaar hi bahaar hai meri khizan liye hue hamari aah ke sharar hamin ko phunkne lage hawa ke jhonke aae sath bijliyan liye hue teri gali mein mah-ru pade hue hain chaar-su tamam zarre khak ke tajalliyan liye hue na qurb-e-gul ki tab thi na hijr-e-gul mein chain tha chaman chaman phire hum apna aashiyan liye hue nigah-e-ahl-e-raaz mein haqiqat o majaz mein hamari be-nishaniyan tera nishan liye hue uthe hain hashr mein fida-e-ku-e-yar is tarah jabin mein sajde dil mein yaad-e-astan liye hue na dil milega 'bedam' aur na dil ki hasraten kahin ki gum hua hai yusuf apna karwan liye hue