kabhu tak ke dar ko khaDe rahe kabhu aah bhar ke chale gae

By mushafi-ghulam-hamdaniNovember 9, 2020
kabhu tak ke dar ko khade rahe kabhu aah bhar ke chale gae
tere kuche mein jo hum aae bhi to thahar thahar ke chale gae
gae bagh mein kisi gul tale to wahan bhi apna na ji laga
le ba-rang-e-ghuncha jamaiyan tujhe yaad kar ke chale gae


kahin ghash mein tha main pada hua suno aur qahr ki baat tum
mujhe dekhne ko jo aae wo to bigad sanwar ke chale gae
karun mu o zulf ka kya bayan ki ajib qissa hai darmiyan
ye idhar ko sine pe aa rahi wo udhar kamar ke chale gae


ab anis hai na jalis hai na rafiq hai na shafiq hai
hum akele ghar mein pade rahe sabhi log ghar ke chale gae
ye ajab zamane ki rasm hai ki jinhon pe marte the hum sada
pas-e-marg aa wahi khak mein hamein aah dhar ke chale gae


chadhe kothe par to the 'mushafi' pa na daw par wo mere chadhe
main chadhaun jab talak aastin uthe aur utar ke chale gae
60856 viewsghazalEnglish