kadi thi dhup to saya uda gaya wo shakhs siyah thi raat to mashal jala gaya wo shakhs masiha ban ke jo marham ba-dast aaya tha kuchh aur dard ko mere badha gaya wo shakhs guzar ke jaan se mohabbat ke raste mein aaj alam-kashon ko rah-e-nau dikha gaya wo shakhs suna ke dard bhari dastan mazalim ki sabhon ko khun ke aansu rula gaya wo shakhs wo jis ke waste phulon ki sej rakhte the hamari rah mein kante bichha gaya wo shakhs main jis ke waste sheron ke jal bunta tha meri ghazal sar-e-mahfil suna gaya wo shakhs