kafi nahin khutut kisi baat ke liye tashrif laiyega mulaqat ke liye duniya mein kya kisi se kisi ko gharaz nahin har koi ji raha hai faqat zat ke liye hum bargah-e-naz mein us be-niyaz ki paida kiye gae hain shikayat ke liye hain pattharon ki zad pe tumhaari gali mein hum kya aae the yahan isi barsat ke liye apni taraf se kuchh bhi unhon ne nahin kaha hum ne jawab sirf sawalat ke liye raushan karo na sham se pahle charagh-e-jam din ke liye ye chiz hai ya raat ke liye mahngai rah-e-rast pe le aai khinch kar bachti nahin raqam buri aadat ke liye karne ke kaam kyun nahin karte 'shuur' tum kya zindagi mili hai khurafat ke liye