kah chuka hun main kai bar nahin manta main

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
kah chuka hun main kai bar nahin manta main
ai sitamgar tujhe sardar nahin manta main
hai agar 'ishq to khul kar kabhi izhaar bhi kar
teri khamoshi ko iqrar nahin manta main


aankhon mein jazb mujhe karni hai surat teri
ek jhalak ko tera didar nahin manta main
qadr-o-qimat mere dil ki tu samajh hi na saka
ja tujhe achchha kharidar nahin manta main


tu abhi qais hai majnun nahin ban paya hai
tujh ko laila ka talabgar nahin manta main
sar ko takrane ki jurat ho to dar banta hai
kisi diwar ko diwar nahin manta main


khak bhi chahiye sahra mein udane ke liye
kisi bhi chiz ko bekar nahin manta main
jo kabhi myan se bahar nahin aati hai 'kamal'
aisi talwar ko talwar nahin manta main


90923 viewsghazalEnglish