kaha kis ne musalsal kaam karne ke liye hai ye duniya asl mein aaram karne ke liye hai mohabbat aur phir aisi mohabbat jo hai tujh se chhupaen kyun ye khushbu aam karne ke liye hai karega kaun tujh ko teri be-mehri ka qail yahan jo bhi hai tujh ko ram karne ke liye hai ye kar-e-ishq mein uljhi hui be-nam duniya haqiqat mein numud o nam karne ke liye hai bahut chhota sa dil aur is mein ek chhoti si khwahish so ye khwahish bhi ab nilam karne ke liye hai ghazal kahni phir us mein apne dil ki baat kahni yahi kafi hamein badnam karne ke liye hai bahut din rah chuke nam-awaron ke bich 'ashfaq' ab apna nam bas gumnam karne ke liye hai