kaha takhliq-e-fan bole bahut dushwar to hogi kaha makhluq bole bais-e-azar to hogi kaha: hum kya karen is ahd-e-na-pursan mein kuchh kahiye wo bole koi aakhir surat-e-izhaar to hogi kaha: hum apni marzi se safar bhi kar nahin sakte wo bole har qadam par ek nai diwar to hogi kaha: aankhen nahin is gham mein binai bhi jati hai wo bole hijr ki shab hai zara dushwar to hogi kaha: jalta hai dil bole ise jalne diya jae andhere mein kisi ko raushni darkar to hogi kaha: ye kucha-gardi aur kitni der tak aakhir wo bole ishq mein mitti tumhaari khwar to hogi