kaha tha tum se na pyar karna wahi kiya na

By danish-azizNovember 16, 2021
kaha tha tum se na pyar karna wahi kiya na
na lafz bunna na sher kahna wahi kiya na
ye tera khun tak nichod lenge kaha tha tujh se
na surkh phulon ke pas jaana wahi kiya na


kaha tha tohfe khutut sare chhupa ke rakhna
kaha tha sab ko na ye dikhana wahi kiya na
kaha tha chahat se dur rahna ye mar degi
kaha tha dil ki na ek sunna wahi kiya na


parind tum par hansa karenge kaha tha tum se
na tum darakhton pe nam likhna wahi kiya na
ye tut jaen to sans lena muhaal thahre
kaha tha tum se na khwab bunna wahi kiya na


kaha tha baaton mein tez hai wo sanbhal ke rahna
na us ka hargiz yaqin karna wahi kiya nan
zahin to ho magar zamana-shanas kam ho
tumhein kaha tha na ishq karna wahi kiya na


luta pita hai fareb dega khayal karna
kabhi na 'danish' ki baat sunna wahi kiya na
86935 viewsghazalEnglish