kahan tak ghair jasusi ke lene ko laga aawe ilahi is bala-e-na-gahan par bhi bala aawe ruka jata hai ji andar hi andar aaj garmi se bala se chaak hi ho jawe sina tuk hawa aawe tera aana hi ab markuz hai hum ko dam-e-akhir ye ji sadqe kiya tha phir na aawe tan mein ya aawe ye rasm-e-amad-o-raft-e-dayar-e-ishq taza hai hansi wo jae meri aur rona yun chala aawe asiri ne chaman se meri dil-garmi ko dho dala wagarna barq ja kar aashiyan mera jala aawe umid-e-rahm un se sakht na-fahmi hai aashiq ki ye but sangin-dili apni na chhoden gar khuda aawe ye fann-e-ishq hai aawe use tinat mein jis ki ho tu zahid-e-pir-e-na-baaligh hai be tah tujh ko kya aawe hamare dil mein aane se takalluf gham ko beja hai ye daulat-khana hai us ka wo jab chahe chala aawe ba-rang-e-bu-e-ghuncha umr ek hi rang mein guzre mayassar 'mir'-sahib gar dil be-muddaa aawe