kahan tak waqt ke dariya ko hum thahra hua dekhen ye hasrat hai ki in aankhon se kuchh hota hua dekhen bahut muddat hui ye aarzu karte hue hum ko kabhi manzar kahin hum koi an-dekha hua dekhen sukut-e-sham se pahle ki manzil sakht hoti hai kaho logon se suraj ko na yun dhalta hua dekhen hawaen baadban kholin lahu-asar barish ho zamin-e-sakht tujh ko phulta-phalta hua dekhen dhuen ke baadalon mein chhup gae ujle makan sare ye chaha tha ki manzar shahr ka badla hua dekhen hamari be-hisi pe rone wala bhi nahin koi chalo jaldi chalo phir shahr ko jalta hua dekhen