kahan tamam abhi karbala ka manzar hai

By aalam-nizamiMarch 24, 2022
kahan tamam abhi karbala ka manzar hai
hamare sath nae hauslon ka lashkar hai
tujhe hai shauq bahut zarf napne ka magar
mere rafiq ye dariya nahin samundar hai


is inqalab ko duniya mein kaun rokega
jo zalzale ki tarah mere dil ke andar hai
jo dip jalta raha raat bhar meri khatir
mere liye to wahi surajon se behtar hai


zamin wale use sirf dekh sakte hain
wo chand hai use chhuna kahan mayassar hai
tere baghair bhi diwar-o-dar chamakte hain
tere baghair bhi ghar ka diya munawwar hai


82015 viewsghazalEnglish