kahen hum kya kisi se dil ki virani nahin jati hamari zindagi bhi hum se pahchani nahin jati ba-zahir aisa lagta hai sabhi hain mast duniya mein magar chehron se poshida pareshani nahin jati rawa-dari ki chadar se kahan tak khud ko dhapenge ki is kam-zarf duniya mein to ye tani nahin jati bahut samjha liya dil ko bichhadna to muqaddar tha na jaane kyun mere dil se pashemani nahin jati bahut hi ladla thahra ye mana dil hamara hai magar ab is ki har ek baat to mani nahin jati