kahen kis se hamara kho gaya kya kisi ko kya ki hum ko ho gaya kya khuli aankhon nazar aata nahin kuchh har ek se puchhta hun wo gaya kya mujhe har baat par jhutla rahi hai ye tujh bin zindagi ko ho gaya kya udasi rah ki kuchh kah rahi hai musafir raste mein kho gaya kya ye basti is qadar sunsan kab thi dil-e-shorida thak kar so gaya kya chaman-arai thi jis gul ka shewa meri rahon mein kante bo gaya kya