kahen kis se sunaen kis ko ab dard-e-nihan apna

By zubair-irtazaOctober 7, 2023
kahen kis se sunaen kis ko ab dard-e-nihan apna
usi ne raaz khola jo bana tha raaz-dan apna
samajh baithe junun-e-shauq mein sara jahan apna
na ras aaya jahan hum ne banaya aashiyan apna


safar kaisa raha manzil thi kaisi ab ye mat puchho
wo saat nahs thi jis waqt nikla karwan apna
muazziz ghair jis husn-e-bayan zor-e-bayan par hai
hamin the laeq-e-tazir gar hota bayan apna


fareb-e-barha par hai wahi husn-e-guman un se
kise malum ab kya gul khilaega guman apna
in ahl-e-zauq ka mat puchho anjam-e-safar kya ho
na samjha jin ka khud zauq-e-safar sud-o-ziyan apna


talash-e-narawa mein ab agar ahl-e-talab bhatke
nahin din dur jab kho baithenge nam-o-nishan apna
nasheman chhin gaya hum par-burida is liye chup hain
'zubair' ab juz qafas koi thikana hi kahan apna


61446 viewsghazalEnglish