kahi jo baat wo sach bhi magar mani nahin jati
By swati-sani-reshamFebruary 29, 2024
kahi jo baat wo sach bhi magar mani nahin jati
mere chhote se dil ki ye pareshani nahin jati
wo beta hai main beti hun yahi ek farq hai hum mein
meri qismat mein hai pinjra wan shaitani nahin jati
kisi ke aankh ka pani kisi ke dil ki virani
agar parde ke pichhe ho to pahchani nahin jati
wo aadhe chand ke chhupne pe taron ka chamak uthna
ye manzar barha dekha pa hairani nahin jati
isi ummid mein the hum ki duniya mein sukun hoga
khabar jag bhar ki rakhte hain pa nadani nahin jati
kisi ke dil ko toda tha hui thi ye khata hum se
bahut muddat hui lekin pashemani nahin jati
badi lambi chhalangen hain bahut unche hain sab sapne
mere poshida khwabon ki farawani nahin jati

33603 viewsghazal • English