kahin aisa na ho khuda na kare mujh ko tujh se koi juda na kare meri jannat teri nigah-e-karam mujh se phir jae ye khuda na kare bewafai bhi ek nisbat hai kya gila us se gar wafa na kare randa-e-mahfil-e-sanam zahid kya kare gar khuda khuda na kare us ki rahmat pe gar yaqin hai 'aish' hai khata gar koi khata na kare