kahin bhi ba-KHuda koi nahin hai
By suhail-saniMay 27, 2021
kahin bhi ba-khuda koi nahin hai
yaqinan aap sa koi nahin hai
wahan maujud hun khud sar-ba-sar main
jahan tak dekhta koi nahin hai
kamal-e-fikr ka dawa hai sab ko
agarche sochta koi nahin hai
main kaise hath tujh ko chhodne dun
mera tere siwa koi nahin hai
main aise shahr mein mara gaya hun
jahan pe khun-baha koi nahin hai
main hazir hun mujhe apna bana len
suna hai aap ka koi nahin hai
jo puchha hai koi ghar mein to 'sani'
kisi ne di sada koi nahin hai
yaqinan aap sa koi nahin hai
wahan maujud hun khud sar-ba-sar main
jahan tak dekhta koi nahin hai
kamal-e-fikr ka dawa hai sab ko
agarche sochta koi nahin hai
main kaise hath tujh ko chhodne dun
mera tere siwa koi nahin hai
main aise shahr mein mara gaya hun
jahan pe khun-baha koi nahin hai
main hazir hun mujhe apna bana len
suna hai aap ka koi nahin hai
jo puchha hai koi ghar mein to 'sani'
kisi ne di sada koi nahin hai
70647 viewsghazal • English