kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhatak gai main charagh wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai meri dastan ka uruj tha teri narm palkon ki chhanw mein mere sath tha tujhe jagna teri aankh kaise jhapak gai bhala hum mile bhi to kya mile wahi duriyan wahi fasle na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhaari jhijak gai tere hath se mere hont tak wahi intizar ki pyas hai mere nam ki jo sharab thi kahin raste mein chhalak gai tujhe bhul jaane ki koshishen kabhi kaamyab na ho sakin teri yaad shakh-e-gulab hai jo hawa chali to lachak gai