kahin diwar-misal aur kahin dar jaisa tha
By haris-bilalFebruary 6, 2024
kahin diwar-misal aur kahin dar jaisa tha
teri bahon ka wo halqa mujhe ghar jaisa tha
ek khadsha tha jo yaron ko mila deta tha
ek ehsas kisi rahguzar jaisa tha
dur jata tha to badhti thi meri binai
wo jo ek shakhs meri hadd-e-nazar jaisa tha
zindagi mein tere hamrah guzara hua waqt
koi pauda tha jo sahra mein shajar jaisa tha
us ke dam se mere apnon ka bharam qaem tha
mera ek 'aib zamane mein hunar jaisa tha
jaise tufan ka imkan samundar mein rahe
mere dil mein tera hona kisi dar jaisa tha

67064 viewsghazal • English