kahin na aisa ho apna waqar kha jae

By varun-anandNovember 24, 2020
kahin na aisa ho apna waqar kha jae
khizan se phul bachaen bahaar kha jae
hamare jaisa kahan dil kisi ka hoga bhala
jo dard pale rakhe aur qarar kha jae


palat ke sang teri aur phenk sakta hun
ki main wo qais nahin han jo mar kha jae
usi ka dakhila is dasht mein karo ab se
jo sabr pi sake apna ghubar kha jae


bahut qarar hai thodi si be-qarari de
kahin na aisa ho mujh ko qarar kha jae
ajab safina hai ye waqt ka safina bhi
jo apni god mein baitha sawar kha jae


43819 viewsghazalEnglish