kahin paida koi majnun kahin farhad karte hain
By aamir-ataFebruary 25, 2024
kahin paida koi majnun kahin farhad karte hain
wafa ke nam par taza sitam ijad karte hain
kisi ke dil mein basne ke liye fariyaad karte hain
magar ahl-e-jahan zalim hamein barbaad karte hain
kai aise adhure kaam hain is ke 'alawa bhi
ye khush-fahmi na rakhna hum tumhein hi yaad karte hain
yaqin mano kisi se mashwara karte nahin hain hum
murid-e-‘ishq hain aur 'ishq ko ustad karte hain
tere aane se kya masti chadhi basti ke logon par
parindon ko riha par chum kar sayyaad karte hain
'ata' hum ko zamane se alag karne ki khwahish hai
wo hum karte nahin jo dusre afrad karte hain

83710 viewsghazal • English