kahin saza to kahin par jaza gulab ka phul

kahin saza to kahin par jaza gulab ka phul
mariz-e-khar ki kaamil dawa gulab ka phul

kisi ke hijr ki kul dastan hota hai
kisi ki qabr pe ugta hua gulab ka phul

kahin gharib ke bachche ko roti mil na saki
kahin wazir pe phenka gaya gulab ka phul

jahan pe ishq-o-mohabbat sire se the hi nahin
wahan bhi ishq-o-mohabbat bana gulab ka phul

khabar mili use jab mere laut jaane ki
tab us ke hath se yak-dam gira gulab ka phul

phir us ne sahn mein kikar uga liye qasdan
jab us ke sahn mein na ug saka gulab ka phul

furaat bhi tha wahin pas mein magar afsos
bala-e-dasht mein jalta raha gulab ka phul

shurua din se main be-zauq tha so main ne 'ali'
kabhi diya na kisi se liya gulab ka phul


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close