kahin se jab koi aawaz aai

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
kahin se jab koi aawaz aai
main ye samjha teri aawaz aai
wahan tak hum ne diwaren gira din
jahan tak aap ki aawaz aai


hua hoga kahin par shor koi
hamein to bas teri aawaz aai
kaha main ne zara pani pila de
kuen se bhi yahi aawaz aai


sama'at par junun tha itna hawi
jo sochi thi wahi aawaz aai
usi ki gunj hai meri khamoshi
teri jo aakhiri aawaz aai


achanak raat mein bhi chaunk uththa
bahut din mein meri aawaz aai
80322 viewsghazalEnglish