kahin shuur mein sadiyon ka khauf zinda tha main shakh-e-asr pe baitha hua parinda tha badan mein dil tha muallaq khala mein nazren thin magar kahin kahin sine mein dard zinda tha phir ek raat mujhi par jhapat pada mera zabt jise main pal raha tha koi darinda tha khushi ne hath badhaya tha meri jaanib bhi magar wahan jahan har shakhs gham-kuninda tha nabard-e-ishq mein kya kya jigar kiya 'tauqir' hawa ka lams bhi jab intiqam-e-hinda tha