kahin uDa na le jaen ye aandhiyan mujhko

By surender-sagarJanuary 5, 2024
kahin uda na le jaen ye aandhiyan mujh ko
chhupa le baadalon mein aaj aasman mujh ko
jo kar chuka hai jala kar kabhi dhuan mujh ko
wo aaj dhundh raha tha yahan-wahan mujh ko


ye bar-bar chali aati hain jo pas mere
samajhti hain koi sahil ye kashtiyan mujh ko
mahak gulab ke jaisi hai tere chhune mein
talash karti rahin kitni titliyan mujh ko


chhupata phirta raha 'ishq jo zamana se
mile hain us ki mohabbat ke kuchh nishan mujh ko
ab ek taraf hai wafa aur ek taraf hai qaza
khuda ne rakkha kahan in ke darmiyan mujh ko


koi to yaad yahan karta rahta hai 'sagar'
jo kar rahi hain pareshan hichkiyan mujh ko
30609 viewsghazalEnglish