kahin yaqin se na ho jaen hum guman ki tarah sambhaal kar hamein rakhiye mata-e-jaan ki tarah jise sadaf ki tarah aankh mein chhupaya tha wo kho na jae kahin ashk-e-raegan ki tarah hamein bhi khauf-e-talatum ne gher rakha tha khula nahin tha abhi wo bhi baadban ki tarah nisab-e-ishq mein sare sawal mushkil the mohabbaten bhi thin darpesh imtihan ki tarah khule jo lab to unhi aainon mein hairat thi jo dekhte the hamein aks-e-be-zaban ki tarah jahan mili thin kabhi khushbuen hawaon se mahak raha tha wo jangal bhi gulistan ki tarah hunar-wari hai hamari ki apne khwabon se qafas bhi hum ne sajaya tha aashiyan ki tarah