kahiye gar rabt muddai se hai

By nizam-rampuriNovember 11, 2020
kahiye gar rabt muddai se hai
kahte hain dosti tujhi se hai
dekhiye aage aage kya kuchh ho
dil ki harkat ye kuchh abhi se hai


us ki ulfat mein jite-ji marna
faeda ye bhi zindagi se hai
zid hai gar hai to ho sabhi ke sath
ya na milne ki zid mujhi se hai


khauf se tum se kah nahin sakte
dil mein ek aarzu kabhi se hai
mujh se puchho ho kis se ulfat hai
tum samajhte nahin kisi se hai


ranjish-e-ghair se nahin matlab
kaam hum ko teri khushi se hai
is qadar aap hum pe zulm karen
is ka insaf aap hi se hai


rashk dushman na sah sakega 'nizam'
ye bhi na-chaar apne ji se hai
29577 viewsghazalEnglish