kahne ko to malbus mein wo jism nihan tha
By tasnim-abbas-quraishiMarch 1, 2024
kahne ko to malbus mein wo jism nihan tha
har zawiya-e-pairahan 'usrat se 'ayan tha
is dasht mein hum qais ko yun dhundne nikle
jaise yahin ustad-e-mukarram ka makan tha
urdu se hua 'ishq use 'ishq bhi aisa
sab log samajhne lage wo ahl-e-zaban tha
gumrahi ki daldal se nikalte bhala kaise
rasta koi is jada-e-hasti mein kahan tha
udti hai jahan ret yahi aankh ka sahra
kahte hain gae waqton mein ek sail-e-rawan tha
din raat lapak kar meri lete the balaen
tu sath mere tha to mere sath jahan tha
khwahish thi kahan radd-e-'amal ki koi 'tasnim'
har ek 'amal apna bila sud-o-ziyan tha

59786 viewsghazal • English