kahne se na mana kar kahunga tu meri na sun magar kahunga tum aap hi aae yun hi sach hai nale ko na be-asar kahunga gar kuchh bhi sunenge wo shab-e-wasl kya kya na mein ta-sahar kahunga kahte hain jo chahte hain dushman main aur tumhein fitna-gar kahunga kahte to ye ho ki tu hai achchha manoge bura agar kahunga yun dekh ke mujh ko muskurana phir tum ko main be-khabar kahunga ek baat likhi hai kya hi main ne tujh se to na nama-bar kahunga kab tum to kahoge mujh se puchho main bais-e-dard-e-sar kahunga tujh se hi chhupaunga gham apna tujh se hi kahunga gar kahunga malum hai mujh ko jo kahoge main tum se bhi pesh-tar kahunga hairat se kuchh un se kah sakunga bhulunga ka idhar udhar kahunga kuchh dard-e-jigar ka hoga bais kyun tujh se main chaara-gar kahunga ab haal-e-'nizam' kuchh na puchho gham hoga tumhein bhi gar kahunga