kahne sunne se meri unki adawat ho gai

kahne sunne se meri un ki adawat ho gai
jo na honi thi wo ghairon ki badaulat ho gai

rose aati hai magar ek rose bhi aati nahin
ai ajal tu bhi mere haq mein qayamat ho gai

mere un ke ab kahan pahla tapak-e-ashiqi
chalte phirte mil gae sahab-salamat ho gai

samjhe the dasht-e-junun mein kuchh bahal jaega dil
dekh kar sunsan jangal duni wahshat ho gai

shakl dikhlati nahin shishe se aa ke jam mein
dukhtar-e-raz tu to abhi se be-murawwat ho gai

marg-e-ashiq ka abas hai sog har dam is qadar
chhut gaya wo qaid-e-gham se tum ko fursat ho gai

fasl-e-gul aai badhe josh-e-junun ke walwale
phir wahi 'taslim' apni ghair haalat ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close