kaho dair-o-haram ya nam apna aastan rakh do

By kaifi-chirayyakotiJuly 31, 2020
kaho dair-o-haram ya nam apna aastan rakh do
sar-e-taslim kham hai tum jahan chaho wahan rakh do
ghata kar qaid-e-azadi badha do gham asiri ka
qafas ko aashiyan mein ya qafas mein aashiyan rakh do


tasalli dene walo hum tahi-dastan-e-qismat hain
sar-e-daman jo mumkin ho to dil ki dhajjiyan rakh do
zarurat jaan ki dil ko main be-parwa-e-hasti hun
jahan dil hai wahin ab meri jaan-e-na-tawan rakh do


khuda kahlao ya kuchh aur sab kuchh mujh ko kahna hai
idhar aao mere munh mein tumhin apni zaban rakh do
wafa ka raaz is majmea mein khola ja nahin sakta
siwa mahshar ke koi aur roz-e-imtihan rakh do


mohabbat aur tasalli us pe hosh-e-zindagi 'kaifi'
nahin uthta agar kandhe se ye bar-e-garan rakh do
51569 viewsghazalEnglish