kaho to nam main de dun ise mohabbat ka

By fatima-hasanOctober 30, 2020
kaho to nam main de dun ise mohabbat ka
jo ek alaw hai jalti hui rifaqat ka
jise bhi dekho chala ja raha hai tezi se
agarche kaam yahan kuchh nahin hai ujlat ka


dikhai deta hai jo kuchh kahin wo khwab na ho
jo sun rahi hun wo dhoka na ho samaat ka
yaqin karne lage log rut badalti hai
magar ye sach bhi karishma na ho khitabat ka


sanwarti rahi ghar ko magar ye bhul gai
ki mukhtasar hai ye arsa yahan sukunat ka
chalo ki is mein bhi ik-adh kaam kar dalen
jo mil gaya hai ye lamha zara si mohlat ka


10886 viewsghazalEnglish