kahte hain sun ke majra mera

By nizam-rampuriNovember 11, 2020
kahte hain sun ke majra mera
tum se kis roz rabt tha mera
nama-bar us ne to kaha sab kuchh
tu ne bhi haal kuchh kaha mera


ab to khwahan visal ka bhi nahin
kuchh ajab hai muamla mera
aur kis ko sunate ho mujh ko
aur kis ka ye zikr tha mera


ye bhi kya baat aai us din ki
ye bhi kahiye qusur tha mera
mujh se phir puchhne se kya hasil
gar samajhte ho muddaa mera


kuchh kisi baat ka khayal bhi hai
ghair ke samne gila mera
dekh kar us ka phera lena munh
aur hasrat se dekhna mera


kuchh to bais hai mere aane ka
kuchh to tum se hai wasta mera
bewafa kahte hain sabhi tum ko
kahiye is mein qusur kya mera


aisi baaten to ghair ki hongi
aap ne nam le liya mera
haal sun ke mera na ye tu kah
ek hi haal hai tera mera


be-qarari se shab kati hogi
aisa kis din khayal tha mera
kis ne betab kar diya mujh ko
kaun aaram le gaya mera


dam-e-marg aa ke puchhte hain 'nizam'
ab to bakhsha kaha suna mera
16120 viewsghazalEnglish