kahun kis se ki dhundlae hue hain

By aarif-nazeerJuly 12, 2024
kahun kis se ki dhundlae hue hain
jo manzar aankh par chhae hue hain
kinare se kinare tak hai wahshat
nadi ke rag ghabrae hue hain


kuchh aise khwab jin se dar raha hun
guzishta raat se aae hue hain
kabhi tu bhi hamari samt aata
teri jaanib to hum aae hue hain


khulus-e-dil sahi tera tabassum
magar hum chot to khae hue hain
na-jaane raat kaun aaega chhat par
sitare sham se aae hue hain


muqaddas hum sahife hain jo shayad
hazaron bar jhutlae hue hain
hamara zikr ho to jaan lijo
teri mahfil mein hum aae hue hain


bade dana hain ji dushman hamare
magar zid par abhi aae hue hain
raqibon par bhi hai nazr-e-‘inayat
karam hum par bhi farmae hue hain


hamara ban ke tu bhi to raha tha
tere hum bhi kabhi hae hue hain
sukun-o-amn waqti hi raha hai
musalsal khauf ke sae hue hain


dimaghi 'ariza lahaq hai tum ko
kai dil hain jo ghabrae hue hain
hamein 'arif' gulon se nisbaten thin
magar kanton mein ginwae hue hain


60810 viewsghazalEnglish