kai shaklon mein khud ko sochta hai samundar paikaron ka silsila hai badalti rut ka nauha sun raha hai nadi soi hai jangal jagta hai bikharne wala khud manzar-ba-manzar mujhe kyun zarra zarra jodta hai suno to phir hawa ka tez jhonka kise aawaz deta ja raha hai hawa ka hath thame ud raha hun hawa fasil hawa hi fasla hai hudud-e-arz mein gum hone wala ufuq ko imkan imkan jaanta hai