kaif-o-surur-o-masti hum se khud mein hain mai-khana hum shisha saghar saqi mina jam-o-subu paimana hum ek zara si der hui kya us ki gali tak jaane mein tanhai ki shakl mein ab tak bharte hain jurmana hum jaane kaun sa jadu tha us jhil si gahri aankhon mein dil jaisi nayab si shai tak de aae nazrana hum jis ne chaha jaisa chaha jod liya ek rishta phir ishq mein tere bhul gae jab apna aur begana hum ru-e-zamin ka ek ek manzar apni nazar ke dam se hai sahra aur samundar hum hain gulshan aur virana hum rafta rafta mit jaenge naqsh hamari hasti ke dhire dhire ho jaenge duniya mein afsana hum