kaifiyat ek nai tashkil hui jati hai wo jo banjar tha wahan jhil hui jati hai barha aap se milna ki khuda khair kare unsiyat ishq mein tahlil hui jati hai koi chupke se saja aaya hai ulfat ke gulab khushbu khushbu meri zambil hui jati hai jis pe khush-rang si taswir saja di gai ho zist diwar ki wo kil hui jati hai pahli barish ki phuwaron ka asar hai shayad yas ab aas mein tabdil hui jati hai dil hamara bhi hua jata hai jalta hua 'dip' aap ki zat jo qindil hui jati hai