kaise aankhon mein koi KHwab sunahra pale

By ali-tasifJune 3, 2024
kaise aankhon mein koi khwab sunahra pale
puchh us se jo bhare ghar ko akela pale
ek hi jast mein us par na ho jaun agar
kahna duniya se mere nam ka kutta pale


tu meri waz' nahin meri taraf dekh baghaur
main wo sahra hun ki jis ne kai dariya pale
kar-e-maqsum bahar-taur yahi lagta hai
tifl-e-muflis na pasandida khilauna pa le


gham-e-‘uqba gham-e-jaanan gham-e-duniya-dari
is qadar rog koi kaise khudaya pale
main samajhta hun sukhanwar ko yahi zeba hai
dard bhi apne sahe zakhm bhi apna pale


'ain mumkin hai kisi roz 'ali-tasif' bhi
nagahan khud ko sar-e-rah dobara pa le
15394 viewsghazalEnglish