kaise duniya ka jaeza kiya jae dhyan tujh se agar hata liya jae tez aandhi mein ye bhi kafi hai ped taswir mein bacha liya jae hum jise chahen apna kahte rahen wahi apna hai jis ko pa liya jae ek hone ki qasmen khai jaen aur aakhir mein kuchh diya liya jae zindagi maut ke dariche ko ek parda hai jab utha liya jae kyun na aaj apni bebasi ka 'faragh' dur se baith kar maza liya jae