kaise in sachche jazbon ki ab us tak tafhim karun ruthne wala ghar aae to lafzon mein tarmim karun mujh se bichhad kar jaane wale itna to samjhata ja apne aap ko do hisson mein kaise main taqsim karun ahl-e-siyasat bant rahe hain jaan se pyare logon ko main shair hun sach kahta hun kyun un ki tazim karun wo bhi zamana-saz hua hai tum bhi thik hi kahte ho meri bhi majburi samjho kis dil se taslim karun tujh se bichhadna qismat mein tha jina to majburi hai soch raha hun ujde ghar ki phir se nai tazim karun koshish to ki lakh magar kuchh baat nahin banti 'faruq' soch raha hun sara manzar lafzon mein tajsim karun