kaise insan hain hum riDh ki haDDi ke baghair

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
kaise insan hain hum ridh ki haddi ke baghair
liye phirti hain hawaen hamein marzi ke baghair
thik aata nahin mujh par koi duniya ka libas
aasman wale meri nap ke darzi ke baghair


koi ‘attar dawa hi nahin deta hum ko
ai tabib-e-maraz-e-jaan teri parchi ke baghair
main wahi hun ki bana baitha hun kohsar-e-wujud
tu ne bheja tha jise zarra-e-hasti ke baghair


sahil-e-'ishq se aage nahin jaane ka badan
par karna hai ye dariya tumhein kashti ke baghair
mujh pe khulta hi nahin husn mere hone ka
apne aaine se ek 'aks ki chori ke baghair


haq bhi baatil sa nazar aata hai us mahfil mein
kabhi na-waqt chala jaun jo masti ke baghair
na raha dasht to jina mera na-mumkin hai
zinda rahna koi mushkil nahin basti ke baghair


zulm tera tera ek tarz-e-mohabbat bhi to tha
khush rahun kaise bhala main teri sakhti ke baghair
'farhat-ehsas' koi yunhi nahin ho jata
arz-e-tanhai mein is takht-nashini ke baghair


99324 viewsghazalEnglish